vo dasht-e-karb-o-balā meñ utarne detā nahīñ
havā-e-tez meñ mujh ko bikharne detā nahīñ
zamīñ ko chūmnā chāhūñ ki vo zamīñ pe hai
vo āsmān se mujh ko utarne detā nahīñ
jhapakne detā nahīñ aañkh vo shab-e-ḳhalvat
mire lahū ko vo ārām karne detā nahīñ
ye kis azaab meñ us ne phañsā diyā mujh ko
ki us kā dhyān koī kaam karne detā nahīñ
kiye haiñ band 'atā' us ne saare darvāze
kisī bhī raah se mujh ko guzarne detā nahīñ