vo sukūn-e-jism-o-jāñ girdāb-e-jāñ hone ko hai
pāniyoñ kā phuul paanī meñ ravāñ hone ko hai
māhi-e-be-āb haiñ āñkhoñ kī be-kal putliyāñ
in nigāhoñ se koī manzar nihāñ hone ko hai
gum huā jaatā hai koī manziloñ kī gard meñ
zindagī bhar kī masāfat rā.egāñ hone ko hai
maiñ fasīl-e-jism ke bāhar khaḌā huuñ dam-ba-ḳhud
mārka sā ḳhvāhishoñ ke darmiyāñ hone ko hai
jāgtā rahtā huuñ us kī vus.atoñ ke ḳhvāb meñ
chashm-e-hairāñ se bayāñ ik dāstāñ hone ko hai
shaam hote hī 'atā' kyuuñ Dūbne lagtā hai dil
kuchh na kuchh hone ko hai aur nā-gahāñ hone ko hai