Ata ul Haq Qasmi

bhaTak rahi hai ata KHalq-e-be-aman phir se

Ata ul Haq Qasmi

Amritsar, Punjab, India

1943
bhaTak rahī hai 'atā' ḳhalq-e-be-amāñ phir se
saroñ se khīñch liye kis ne sā.ebāñ phir se
diloñ se ḳhauf nikaltā nahīñ azāboñ kā
zamīñ ne oḌh liye sar par āsmāñ phir se
maiñ terī yaad se niklā to apnī yaad aa.ī
ubhar rahe haiñ miTe shahr ke nishāñ phir se
tirī zabāñ pe vahī harf-e-anjuman-ārā
mirī zabāñ pe vahī harf-e-rā.egāñ phir se
abhī hijāb sā haa.il hai darmiyāñ meñ 'atā'
abhī to hoñge lab-o-harf rāz-dāñ phir se
Top Urdushayar.com