Kalim Akhtar

tere mere ghar ki haalat bahar kuchh aur andar kuchh

Kalim Akhtar

Gaya, Bihar, India

1968
tere mere ghar kī hālat bāhar kuchh aur andar kuchh
jaise ho phūloñ kī rañgat bāhar kuchh aur andar kuchh
bāhar bāhar ḳhāmoshī hai andar andar hañgāma
kaisī hai ye jism kī hiddat bāhar kuchh aur andar kuchh
lafz hai kuchh aur ma.anī kuchh har misre meñ fankār hai ġham
aise vaise sher kī lazzat bāhar kuchh aur andar kuchh
kyuuñ na aañkh meñ aañsū aa.e kyuuñ na dil ko choT lage
apne apne des kī hālat bāhar kuchh aur andar kuchh
koī na shāyad jaan sakegā sūraj kī matvālī chaal
shahr meñ kyuuñ hai dhuup kī shiddat bāhar kuchh aur andar kuchh
gahrī nazar vāloñ meñ 'aḳhtar' raushan hai pahchān alag
phir bhī kyuuñ hai aap kī izzat bāhar kuchh aur andar kuchh
Top Urdushayar.com