koī markaz se alag hai koī mehvar se alag
aadmī ḳhud ho gayā hai apne paikar se alag
kitne ḳhānoñ meñ baTā hai ahd-e-nau kā aadmī
koī bāhar se judā hai koī andar se alag
be-libāsī ke sivā ab kuchh nazar aatā nahīñ
is qadar hai jism ḳhuddārī kī chādar se alag
dāġh-e-dil kashmīr kā gujrāt kā dil dardnāk
hādisa koī kahāñ hai chhe december se alag
band thiiñ almāriyoñ meñ chāhatoñ kī fileñ
kis ne kī 'aḳhtar' ye dastāvez daftar se alag