dil kā saarā ghor añdherā duur huā
kis kā hai ye nuur jo maiñ pur-nūr huā
zaḳhm risā phir zaḳhm-e-dil nāsūr huā
rafta rafta jaise bhāgalpūr huā
yuuñ to ham ne qisse likkhe rañgā-rañg
lekin ġham kā qissa hī mash.hūr huā
paanī paanī chīḳh rahā thā pyāsā dil
shahr-e-sitam kā kaisā ye dastūr huā
kaisā mulk-shor bapā hai ḳheme meñ
āñkheñ suunī dil kā shīsha chuur huā
ab ke mausam sadiyoñ kā tahzībī rañg
ḳhatm huā barbād huā kāfūr huā
shahr meñ tere kis se gilā phir karte ham
'aḳhtar' jab apnā hī saaya duur huā