kabhī sitāra kabhī ramz-o-isti.āra huā
ajiib Dhañg se vo mujh pe āshkārā huā
sabhī ne ā.īna dekhā abhī musallam thā
tirī nigāh paḌī aur paara paara huā
rakhā gayā hai hifāzat se self meñ mujh ko
ki jaise maiñ bhī ḳhusūsī koī shumāra huā
hamīñ ne aag lagā.ī thī apne dāman meñ
phir us ke ba.ad na aañsū koī sharāra huā
lahū kā qatra thā vo bhī jo apnī gardish meñ
kahīñ charāġh banā aur kahīñ sitāra huā
tire jamāl kā saudā to kar liyā lekin
kabhī nigāh kabhī jaan kā ḳhasāra huā
nafas nafas tirī hamsā.egī milī mujh ko
maiñ terā parda huā tū mirā nazāra huā