diye palkoñ ke saare bujh rahe haiñ
sar-e-shab hī sitāre bujh rahe haiñ
in āñkhoñ ne jinheñ raushan kiyā thā
vo sab manzar hamāre bujh rahe haiñ
bahut kam ho chalī hai ātish-e-ḳhāk
zamīñ tere sharāre bujh rahe haiñ
siyāhat haath mal kar rah ga.ī hai
sar-e-sāhil shikāre bujh rahe haiñ
pa.e shab sair aayā bhī kahāñ maiñ
jahāñ saare nazāre bujh rahe haiñ
na halchal hai na koī mauj-e-bosa
samundar ke kināre bujh rahe haiñ
maiñ yaḳh-basta huā jaatā huuñ 'afsar'
mire jazbāt saare bujh rahe haiñ