yādoñ meñ rañg bhar rahā huuñ
zaḳhmoñ ko gulāb kar rahā huuñ
har saañs ek an-sunī sī aahaT
maiñ jaane kis pe mar rahā huuñ
duniyā.eñ vajūd pā rahī haiñ
reza reza bikhar rahā huuñ
ik lamha-e-gum-shuda kī ḳhātir
sadiyoñ kā hisāb kar rahā huuñ
maqsūd-e-safar hai kuchh to aisā
sho.aloñ se jo guzar rahā huuñ
hai ek junūn-e-ḳhud-shanāsī
akasr apne hī sar rahā huuñ
tūfān guzar chukā hai kab kā
ab dariyā sā utar rahā huuñ
rishte mazbūt ho rahe haiñ
peshāniyoñ par ubhar rahā huuñ
thā faḳhr bahut falak-rasī par
ḳhud apne par ab katar rahā huuñ