band kamre meñ dam na ghuT jaa.e
khiḌkiyāñ khol do havā aa.e
aa ke sūraj saroñ pe baiTh gayā
chhup ga.e haiñ badan badan saa.e
itnā dam to kisī diye meñ nahīñ
kaun pāgal havā ko Thahrā.e
kyā kareñ le ke aisī bārish ko
rañg phūloñ kā jis meñ dhul jaa.e
kabhī tujh ko bhī bhūlnā chāhūñ
koī shaitān hai jo bahkā.e
dasht-e-jāñ par baras rahe haiñ rañg
ek āñchal fazā meñ lahrā.e
qaid zindān-e-ḳhāmushī meñ koī
ḳhud bhī taḌpe mujhe bhī taḌpā.e