Izhar Warsi

KHayal-o-KHwab ke sab rang bhar ke dekhte hain

Izhar Warsi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1940-2018
ḳhayāl-o-ḳhvāb ke sab rañg bhar ke dekhte haiñ
ham us kī yaad ko tasvīr kar ke dekhte haiñ
jahāñ jahāñ haiñ zamīñ par qadam-nishāñ us ke
har us jagah ko sitāre utar ke dekhte haiñ
havā hai tez sambhālegā in meñ kitnoñ ko
shajar kā hausla patte shajar ke dekhte haiñ
use bhī shauq hai kuchh dhajjiyāñ uḌāne kā
kuchh apnī vus.ateñ ham bhī bikhar ke dekhte haiñ
idhar ke sukh ne to hijrat pe kar diyā majbūr
udhar hai kyā chalo dariyā utar ke dekhte haiñ
ga.e the chhoḌ ke ham jis jagah makāñ apnā
nishāñ bas ab vahāñ dīvār-o-dar ke dekhte haiñ
na yuuñ miTā sake shāyad hameñ jo vo dildār
hai sañg-dil to sar-e-sañg ubhar ke dekhte haiñ
Top Urdushayar.com