Izhar Warsi

lamha lamha dastak de kar taDpata hai jaane kaun

Izhar Warsi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1940-2018
lamha lamha dastak de kar taḌpātā hai jaane kaun
raat ga.e man-darvāze par aa jaatā hai jaane kaun
apnī sāñsoñ kī ḳhushbū ko ghol ke merī sāñsoñ meñ
merā suunā jīvan-āñgan mahkātā hai jaane kaun
ik anjāne haath ko akasr shāne par mahsūs karūñ
mujh se duur hī rah kar mujh ko apnātā hai jaane kaun
āñkheñ to parbat ke pīchhe chhupte chāñd ko dekheñ bas
us manzar kī oT meñ lekin sharmātā hai jaane kaun
dhuup meñ dasht-e-tanhā.ī kī mere jalte hoñToñ ko
lams apne gul-barg lab kā de jaatā hai jaane kaun
apne parā.e chhūT ga.e sab ās-khilaune TuuT ga.e
phir bhī ziddī man-bālak ko bahlātā hai jaane kaun
yaksāñ tevar yaksāñ chehre sab hī dukh dene vaale
lekin is bastī meñ bhī ik sukh-dātā hai jaane kaun
Top Urdushayar.com