Izhar Warsi

shikasta KHwabon ka aankhon se rabta kar len

Izhar Warsi

Bahraich, Uttar pradesh, India

1940-2018
shikasta ḳhvāboñ kā āñkhoñ se rābta kar leñ
har ek shab kā taqāzā ki rat-jagā kar leñ
lagā.eñ bhiiḌ ga.e zard-o-sabz lamhoñ kī
aur us hujūm meñ phir ḳhud ko lāpata kar leñ
vagarna jiine na degā ġham-e-hayāt kā zahr
kisī ke bhūle hue ġham kā phir nasha kar leñ
kuchh ehtijāj bhī rakkheñ sharīk-e-zabt-e-sitam
zabāñ hai guñg to chehra savāliya kar leñ
vo zaḳhm dast-e-talab ho ki ho gul-e-shādāb
vo kuchh to degā hamīñ arz-e-mudda.ā kar leñ
nazar hai terī tavajjoh ke har tarashshoh par
paḌe phuvār to zaḳhmoñ ko phir harā kar leñ
dikhā.ī dene lagā ruḳh pe rañg-e-bātin bhī
bahut qarīb haiñ ham thoḌā fāsla kar leñ
Top Urdushayar.com