bastī bastī maqtal baabā
shahr se achchhā jañgal baabā
chāñd meñ baiThī buḌhiyā pūchhe
kyuuñ huī duniyā pāgal baabā
darveshī meñ ḳhaak barābar
sonā ho yā pītal baabā
jis kā man dhanvān hai us ke
tan kā TaaT bhī maḳhmal baabā
yaar mile to sab din achchhe
kyā jum.a kyā mañgal baabā
jaane kahāñ aur kis par barse
vaqt hai uḌtā bādal baabā
updeshoñ meñ biit na jaa.e
jīvan hai karm-asthal baabā
jo karnā hai aaj hī kar le
jaane kaun rahe kal baabā