āsmānoñ sā khulā-pan bhī mujhe chāhiye hai
paañv thak jaa.eñ to maskan bhī mujhe chāhiye hai
dosto tum se umīdeñ to bahut kuchh thiiñ par ab
ek ma.aqūl sā dushman bhī mujhe chāhiye hai
qabl-e-manzil kahīñ luT jaane kī hasrat hai bahut
rāhbar hī nahīñ rahzan bhī mujhe chāhiye hai
mas.ale kam nahīñ vaise hī sulajhne ke liye
aur tirī zulf kī uljhan bhī mujhe chāhiye hai
vaqt ke saath badaltī nahīñ tahrīr-e-nihād
titliyāñ dekhūñ to bachpan bhī mujhe chāhiye hai
ab to is shart pe chāhūñ maiñ tire husn kī aañch
aag lag jaa.e to sāvan bhī mujhe chāhiye hai