Puja Bhatia

sard rishton ki barf pighli hai

Puja Bhatia

Mumbai, Maharashtra, India

1977
sard rishtoñ kī barf pighlī hai
dhuup muddat ke ba.ad niklī hai
niiñd āñkhoñ se ye churā.egī
gasht par yaad phir se niklī hai
har na.ī lahr meñ nayā paanī
vo jo pichhlī thī ab vo aglī hai
rañg vo hī bharegī donoñ meñ
apnī yādoñ kī vo jo titlī hai
phuuT paanī meñ paḌ ga.ī hai kyā
lahr dariyā banāne niklī hai
mere jiine ko bas ye hai kaafī
tū hai bārish hai aur titlī hai
be-ḳhayālī meñ gir paḌī hogī
vo nahīñ jāntī vo bijlī hai
chāñd ko chug gayā thā ik panchhī
chāñdnī phir kahāñ se niklī hai
vaj.h tum hī the mere jiine kī
vaj.h ab bhī kahāñ ye badlī hai
uḌtī hai ġham liye paroñ par jo
kaisī ḳhush-rañg sī vo titlī hai
tujh se tasvīr terī achchhī hai
ba.ad muddat bhī vo na badlī hai
Top Urdushayar.com