Puja Bhatia

KHwab jo achchhe bure the

Puja Bhatia

Mumbai, Maharashtra, India

1977
ḳhvāb jo achchhe bure the
mere andar pal rahe the
ek chuppī tum ne chāhī
maiñ ne apne lab siye the
āzmā.ish vaqt ne kī
sab yaqīñ TuuTe paḌe the
umr bhar chal kar na pahuñche
jaane kaise marhale the
niiñd āñkhoñ se judā thī
ḳhvāb meñ bhī ratjage the
din mahīne saal guzre
yuuñ to ham kal hī mile the
lafz the bāheñ pasāre
aur ġhazal ko kuchh gile the
thī purānī film duniyā
chehre sab dekhe sune the
fāsloñ kā Dar kise thā
paañv par raste likhe the
us ne bartā thā takalluf
mere bhī kuchh mas.ale the
chāñd tāroñ kī jagah par
abr par jugnūñ Tañge the
Top Urdushayar.com