Puja Bhatia

aisa jina bhi kya hai mar mar ke

Puja Bhatia

Mumbai, Maharashtra, India

1977
aisā jiinā bhī kyā hai mar mar ke
vo jahāñ bhī rahe rahe Dar ke
ab kisī tarah dil nahīñ lagtā
ghar meñ sab kuchh to hai sivā ghar ke
saañs kā bojh ab nahīñ uThtā
jism ḳhālī hai dhaḌ binā sar ke
us ko jaane kī kitnī jaldī thī
baat saarī kahī pa kam kar ke
jalva dekhā lahū kā us ne jab
hosh hī uḌ ga.e the ḳhanjar ke
ret-o-sāhil meñ sulh phir na huī
thak ga.ī mauj iltijā kar ke
zaḳhm kuchh is tarah se hañste haiñ
ashk bahne lage haiñ nashtar ke
raas aayā ġham-e-shanāsā.ī
vaar pahchān ke the ḳhanjar ke
us ko nārāz honā aatā hai?
vaarī jā.ūñ maiñ aise tevar ke
Top Urdushayar.com