jaan ye intizār kaisā hai
hijr meñ bhī qarār kaisā hai
terī bātoñ kā zaḳhm hai ab tak
dekh terā shikār kaisā hai
dil kī dhaḌkan sunī to vo bole
ye khanaktā sitār kaisā hai
nabz ne lauTte hī pūchhā thā
suune dil kā dayār kaisā hai
mere aañsū use tasallī deñ
mujh ko ye us se pyaar kaisā hai
mujh meñ himmat nahīñ lagā.ūñ dil
aur dekhūñ ki pyaar kaisā hai
ruuh ke zaḳhm jism se haiñ ayaañ
pairahan tār-tār kaisā hai
phuul ke haal se maiñ vāqif huuñ
tum batāo ki ḳhaar kaisā hai
vo rakhegā mirā bharam baaqī
us pe ye e'tibār kaisā hai