Puja Bhatia

kis hunar ke muzahire mein ho

Puja Bhatia

Mumbai, Maharashtra, India

1977
kis hunar ke muzāhire meñ ho
tum to ḳhud se muqāble meñ ho
qatl karnā to us ko Thiik nahīñ
ishq kī maut hādse meñ ho
chāñd aa.egā sulh karne ko
jaag jaao muġhālte meñ ho
naam maiñ dūsrā mohabbat kā
tum ho pāgal yā phir nashe meñ ho
aate aate hañsī yuuñ phislī hai
jaise ashkoñ ke rāste meñ ho
chāñd ġhā.eb hai chāñd rātoñ se
kyā pata mere aa.ine meñ ho
tum chale the ḳhalā ko bharne kyūñ?
lauT aa.e ki rāste meñ ho
kaun munsif bane sivā dariyā
ik jazīra jo kaTghare meñ ho
Top Urdushayar.com