Puja Bhatia

aankhon se palkon tak jo do raste the

Puja Bhatia

Mumbai, Maharashtra, India

1977
āñkhoñ se palkoñ tak jo do raste the
un rastoñ meñ kitne dariyā paḌte the
aur is se bhī rastā thoḌā āsān huā
ḳhvāb meñ ham ne saare jañgle dekhe the
ghuum rahā thā ik majnūñ bin vahshat ke
saare sahrā meñ us ke hī charche the
vaqt thā us kī ruḳhsat kā aur laTe thī maiñ
gaaḌī ke saare Dabbe bhī ik se the
ek mukammal manzar thā us manzar meñ
vo thā aur do-chār parinde baiThe the
Top Urdushayar.com