Raziq Ansari

hamara maqsad agar safar hai tawil karna

Raziq Ansari

Indore, Madhya Pradesh, India

1960
hamārā maqsad agar safar hai tavīl karnā
shumār aise meñ kis liye sañg-e-mīl karnā
agar mohabbat ke case meñ ho hamārī peshī
hamārī maano to apne dil ko vakīl karnā
hamāre ghar meñ jidhar se nafrat kā dāḳhila hai
bahut zarūrī hai aise rastoñ ko seel karnā
diloñ ke rishte ko ek sāzish kā naam de kar
hai un kā maqsad mohabbatoñ ko zalīl karnā
hameñ pata hai tumheñ jo ye sab sikhā rahā hai
agar suno sach to pesh jhūTī dalīl karnā
Top Urdushayar.com