Sanaullah Zaheer

teri shikast ka elan to nahin karenge

Sanaullah Zaheer

Shahkot, Punjab, India

1964
tirī shikast kā elaan to nahīñ kareñge
jo terā kaam hai darbān to nahīñ kareñge
siyāh-rāt ke āñgan meñ kuud kar ham log
diye jalā.eñge nuqsān to nahīñ kareñge
maiñ apnī zaat kī hairat-sarā se guzrā huuñ
ye tajarbe mujhe hairān to nahīñ kareñge
ye Thiik hai ki zarūrī hai kār-girya bhī
magar ye hijr ke daurān to nahīñ kareñge
ye sochnā thā tumheñ dā.ere banāte hue
ye pech tum ko pareshān to nahīñ kareñge
'zahīr' us kī ragoñ ko lahū pilā kar ham
zamīn par koī ehsān to nahīñ kareñge
Top Urdushayar.com