ḳhud meñ utre aur tuġhyānī se bāhar aa ga.e
aa ke gahrā.ī meñ ham paanī se bāhar aa ga.e
us kī raunaq meñ bahut sunsān se lagte the ham
shahar se nikle to vīrānī se bāhar aa ga.e
lafz vo jin ko zabāñ tak laane kī himmat na thī
āḳhir yak din merī peshānī se bāhar aa ga.e
dam-ba-ḳhud us husn ko hī dekhte rahte the ham
yuuñ barat TuuTā ki hairānī se bāhar aa ga.e
āstīñ meñ pal rahe the lekin ik din yuuñ huā
saañp aapas kī pareshānī se bāhar aa ga.e
vo ta.alluq ham ko qaid-e-ḳhvāb jaisā thā 'zahīr'
khul ga.iiñ āñkheñ to āsānī se bāhar aa ga.e