Ali Akbar Abbas

andheri bastiyan raushan manare Dub jaenge

Ali Akbar Abbas

1948
añdherī bastiyāñ raushan manāre Duub jā.eñge
zamīñ rotī rahī to shahr saare Duub jā.eñge
jhulas deñgī jo sahrā.ī havā.eñ reshmī saa.e
dhueñ ke zahr meñ rañgīñ nazāre Duub jā.eñge
abhī se kashtiyāñ sab sāhiloñ kī samt ruḳh moḌeñ
ki jab tūfān aayā phir ishāre Duub jā.eñge
baḌhegī un kī lau koī agar sīñche harārat se
barastī barf meñ saare sharāre Duub jā.eñge
yūñhī palte rahe gar hasht-pā is jhiil kī tah meñ
kisī din sat.h par hañste shikāre Duub jā.eñge
fareb-e-māh-o-anjum se nikal jaa.eñ to achchhā hai
zarā sūraj ne karvaT lī ye taare Duub jā.eñge
chaTānoñ par kareñ kanda nishānī apne hone kī
sunahre kāġhazoñ ke goshvāre Duub jā.eñge
Top Urdushayar.com