pesh har ahd ko ik teġh kā imkāñ kyuuñ hai
har nayā daur na.e ḳhauf meñ ġhaltāñ kyuuñ hai
shahr ke shahr hī behosh paḌe pūchhte haiñ
zindagī apne amal-dāroñ se nālāñ kyuuñ hai
aa.ina aks mo.attal to nahīñ kartā kabhī
itnā be-āb magar ā.īna-e-jāñ kyuuñ hai
phir se matlūb-e-ḳhalā.iq hai gavāhī koī
bar-sar-e-koh-e-siyah shola-e-larzāñ kyuuñ hai
ye amal hai ḳhas-o-ḳhāshāk kī chhidrā.ī kā
rañg-e-rañgīn-e-gul-o-lāla pareshāñ kyuuñ hai