Ali Akbar Abbas

sara din be-kar baiThe sham ko ghar aa gae

Ali Akbar Abbas

1948
saarā din be-kār baiThe shaam ko ghar aa ga.e
ḳhvāb meñ chalne lage dīvār se Takrā ga.e
maiñ bharī saḌkoñ pe bhī be-chāp chalne lag gayā
ghar meñ so.e log mere zehn par yuuñ chhā ga.e
merā beTā mere dushman kī hī tasvīreñ banā.e
mere abbā us kī copy dekh kar ghabrā ga.e
jab bhī sūraj Dūbte dekhā maiñ ḳhush hone lagā
par ka.ī manhūs chamgādaḌ mujhe larzā ga.e
āsmāñ kī samt dekhā bādaloñ ke vāste
dekhte hī dekhte chīloñ ke dil mañDlā ga.e
Top Urdushayar.com