shuā.eñ aise mire jism se guzartī ga.iiñ
lahū meñ jaise mire kirchiyāñ utartī ga.iiñ
na jaane chehre huuñ ā.inda nasl ke kaise
bas ek ḳhauf se merī rageñ sikuḌtī ga.iiñ
mujhe to lagte haiñ nāḳhun bhī apne zahar bujhe
mere liye to mirī uñgliyāñ bhī martī ga.iiñ
jazīre kitne garāñ pāniyoñ kī god meñ haiñ
panāh ke liye socheñ mirī bikhartī ga.iiñ
ye gardishoñ kā tavāzun bigaḌ na jaa.e kahīñ
isī tarah jo zamīñ kī taheñ udhaḌtī ga.iiñ
ḳhalā hayāt ke imkāñ se to nahīñ aarī
pa justujūeñ kuchh apnī hī maañd paḌtī ga.iiñ