Shibli Nomani

tir-e-qatil ka ye ehsan rah gaya

Shibli Nomani

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1857-1914
tīr-e-qātil kā ye ehsāñ rah gayā
jā-e-dil siina meñ paikāñ rah gayā
kī zarā dast-e-junūñ ne kotahī
chaak aa kar tā-ba-dāmāñ rah gayā
do qadam chal kar tire vahshī ke saath
jāda-e-rāh-e-bayābāñ rah gayā
qatl ho kar bhī subukdoshī kahāñ
teġh kā gardan pe ehsāñ rah gayā
ham to pahuñche bazm-e-jānāñ tak magar
shikva-e-bedād-e-darbāñ rah gayā
kyā qayāmat hai ki kū-e-yār se
ham to nikle aur armāñ rah gayā
dūsroñ par kyā khule rāz-e-dahan
jabki ḳhud saan.e se pinhāñ rah gayā
jazba-e-dil kā zarā dekho asar
tiir niklā bhī to paikāñ rah gayā
jāma-e-hastī bhī ab tan par nahīñ
dekh vahshī terā uryāñ rah gayā
zo.af marne bhī nahīñ detā mujhe
maiñ ajal se bhī to pinhāñ rah gayā
ai junūñ tujh se samajh lūñgā agar
ek bhī tār-e-garebāñ rah gayā
husn chamkā yaar kā ab āftāb
ik charāġh-e-zer-e-dāmāñ rah gayā
log pahuñche manzil-e-maqsūd tak
maiñ jaras kī tarah nālāñ rah gayā
yaad rakhnā dosto is bazm meñ
aa ke 'shiblī' bhī ġhazal-ḳhvāñ rah gayā
Top Urdushayar.com