Ali Akbar Abbas

kabhi jo nur ka mazhar raha hai

Ali Akbar Abbas

1948
kabhī jo nuur kā maz.har rahā hai
vo kin tārīkiyoñ meñ mar rahā hai
kisī sūraj kā TukḌā toḌ laa.eñ
zamīñ kā jism ThanDā paḌ rahā hai
kahīñ āsār DhūñDeñ zindagī ke
kabhī ye chāñd merā ghar rahā hai
matā-e-āsmāñ bhī luT na jaa.e
sitāre par sitāra gir rahā hai
havā meñ lafz likkhe jā rahe haiñ
koī zaḳhmī parinda uḌ rahā hai
Top Urdushayar.com