kisī pe bār-e-digar bhī nigāh kar na sake
koī bhī shauq ba-hadd-e-gunāh kar na sake
ujaDD-pane meñ talab kar ga.e javāz-e-ḳhatā
ḳhizar ke saath bhī ham to nibāh kar na sake
dayār-e-hijr basāyā hai jo ki barsoñ meñ
dam-e-visāl kī ḳhātir tabāh kar na sake
amaañ talab na hue dasht-e-be-panāh meñ ham
savād-e-jāñ bhī magar harf-e-rāh kar na sake
safar-ma.āb yahī bahr-o-bar hai phir bhī ham
paroñ ko apne kushā ḳhvāh-maḳhvāh kar na sake