bosīda ḳhadshāt kā malba duur kahīñ dafnāo
jismoñ kī is shahr-e-panah meñ taaza shahr basāo
saare jism kā resha resha soch kī quvvat paa.e
phir har saañs kā hāsil chāhe sadiyoñ par phailāo
apnā aap nahīñ hai sab kuchh apne aap se niklo
badbūeñ phailā detā hai paanī kā Thahrāo
muddat se kyuuñ chaaT rahe ho lafzoñ kī dīvāreñ
siine meñ maḳhfī ḳhākoñ kī vāzeh shakl banāo
apnā apnā kafan utāreñ lāsheñ uḌtī jaa.eñ
pyāsī zabāñ nikāle dhartī chāTe apne ghaao