zabān chup hai magar zehn ro rahā hai lahū
ki jīte-jāgte logoñ kā so rahā hai lahū
tamām umr milā zahr is tasalsul se
ki apne-āp meñ tiryāk ho rahā hai lahū
ragoñ meñ utrī hai jo shai vo nā-muvāfiq hai
ki saare jism meñ kāñTe se bo rahā hai lahū
bas ek dā.ere meñ raqs kar rahe haiñ havās
ḳhayāl hai ki bagūla bilo rahā hai lahū
har ek lahza utartī kasāfateñ mujh meñ
aur ek gardish-e-paiham meñ dho rahā hai lahū
koī kumak to mile ab mudāfa.at ke liye
vagarna rañg kī tāqat bhī kho rahā hai lahū