Ali Akbar Abbas

qayam-o-naql ajaib ke tarjuman to nahin

Ali Akbar Abbas

1948
qayām-o-naql ajā.ib ke tarjumāñ to nahīñ
amal har ek musalsal hai nā-gahāñ to nahīñ
ye markaze kī harārat kashish kā baa.is hai
jo ho vo sard to phir ye zamīñ bhī maañ to nahīñ
muhīt chāroñ-taraf se hai ik ḳhalā-e-basīt
zamīñ ye apnī faqat zer-e-āsmāñ to nahīñ
havā uḌaa.e unheñ aur kahīñ bhī le jaa.e
ye Tiile ret ke pakkī nishāniyāñ to nahīñ
havā ke paas amānat haiñ sab sadā-o-aks
abhī giraft se bāhar haiñ par nihāñ to nahīñ
Top Urdushayar.com