kabhī sar pe chaḌhe kabhī sar se guzre kabhī paañv aan gire dariyā
kabhī mujhe bahā kar le jaa.e kabhī mujh meñ aan bahe dariyā
gaatā huuñ mere sur meñ sur mil jaa.e us kī lahroñ kā
merī aañkh meñ aañsū dekhe to phir apnī aañkh bhare dariyā
maiñ apnī use sunātā huuñ vo apnī mujhe sunātā hai
maiñ chup to vo bhī chup hai aur maiñ kahūñ to baat kahe dariyā
kahīñ barf lapeTe baiThā hai kahīñ ret bichhā kar leTā hai
kabhī jañgal meñ Derā Daale kabhī bastī aan base dariyā
ai dariyā! terā paaT baḌā, ai dariyā! terā zor baḌā
ai dariyā! gum ho kar tujh meñ qatre kā naam paḌe dariyā
ai shā.er! terā dard baḌā ai shā.er! terī soch baḌī
ai shā.er! tere siine meñ is jaisā laakh bahe dariyā