dekhne meñ lagtī thī bhīgtī simaTtī raat
phailtī ga.ī lekin buuñd buuñd baTtī raat
titliyāñ pakaḌne kā aa gayā zamāna yaad
tez tez baḌhte ham duur duur haTtī raat
kyuuñ pahāḌ jaisā din ḳhaak meñ milā Daalā
pahle soch lete to gard meñ na aTtī raat
pyaar se kiyā ruḳhsat ek ik sitāre ko
chhā rahī phir āñkhoñ meñ āsmāñ se chhaTtī raat
ik sadā kī sūrat ham is havā meñ zinda haiñ
ham jo raushnī hote ham pe bhī jhapaTtī raat