Shibli Nomani

asar ke pichhe dil-e-hazin ne nishan chhoDa na phir kahin ka

Shibli Nomani

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1857-1914
asar ke pīchhe dil-e-hazīñ ne nishān chhoḌā na phir kahīñ kā
ga.e haiñ naale jo sū-e-gardūñ to ashk ne ruḳh kiyā zamīñ kā
bhalī thī taqdīr yā burī thī ye raaz kis tarah se ayaañ ho
butoñ ko sajde kiye haiñ itne ki miT gayā sab likhā jabīñ kā
vahī laḌakpan kī shoḳhiyāñ haiñ vo aglī hī sahī sharārteñ haiñ
siyāne hoñge to haañ bhī hogī abhī to san hai nahīñ nahīñ kā
ye nazm-e-ā.īñ ye tarz-e-bandish suḳhanvarī hai fusūñ-garī hai
ki reḳhta meñ bhī tere 'shiblī' maza hai tarz-e-'alī-hazīñ' kā
Top Urdushayar.com