ġhubār-e-nūr hai yā kahkashāñ hai yā kuchh aur
ye mere chāroñ taraf āsmāñ hai yā kuchh aur
jo dekhā arsh-e-tasavvur se bārhā sochā
ye kā.enāt bhī aks-e-ravāñ hai yā kuchh aur
maiñ kho.e jaatā huuñ tanhā.iyoñ kī vus.at meñ
dar-e-ḳhayāl dar-e-lā-makāñ hai yā kuchh aur
firāq-e-umr kī had kyuuñ lagā.ī hai us ne
mirā vajūd hī us ko girāñ hai yā kuchh aur
azal se tā-ba-abad jast ek saa.at kī
yahī bas arsa-e-kār-e-jahāñ hai yā kuchh aur