jo ḳhud ko paa.eñ to phir dūsrā talāsh kareñ
is ik hayāt meñ ab aur kyā talāsh kareñ
sitāra-go hai ye shab is ko ġhaur se sun leñ
aur is kā din jo kahīñ kho gayā talāsh kareñ
ham apnī baat ko dīvār hī meñ chunvā deñ
nazar shabīh samā.at sadā talāsh kareñ
hai bāb-e-jāñ pe rukā aks-e-mehmāñ aa kar
sar-e-vajūd koī aa.ina talāsh kareñ
havā meñ zahr hai sahrā kā yā samundar kā
ye ilm ho to koī badraqa talāsh kareñ