tere bikhre lafz bhī afkār se aarī nahīñ
is haqīqat se to koī shaḳhs inkārī nahīñ
phailtā jaatā hai ik sartān tere jism meñ
nashtaroñ ke ḳhauf se mat kah ye bīmārī nahīñ
guzre vaqtoñ ye ibārat meñ to kho kar rah gayā
vaqt ke māthe kī tahrīroñ kā tū qaarī nahīñ
terī har āvāz un ke shor meñ dab jā.egī
un kā maqsad to tirā hāñkā hai shashkārī nahīñ
maslahat-andesh to kotāh-andeshoñ meñ hai
aa.ina terā abhī mailā hai zañgārī nahīñ