zarā haTe to vo mehvar se TuuT kar hī rahe
havā ne nochā unheñ yuuñ ki bas bikhar hī rahe
haiñ be-nishāñ jo uḌe the bagūla-zad ho kar
zamīñ pe leTne vaale zamīn par hī rahe
bahār jhāḌiyoñ par TuuT TuuT kar barsī
duā.eñ māñgte ashjār be-samar hī rahe
ḳhushā ye saaya o ḳhushbū ki tā.ir-e-ḳhush-rañg
na phir ye vaqt rahe aur na ye shajar hī rahe
banā.eñ aisā makāñ ab ki chāñd aur sūraj
jidhar bhī jaa.eñ magar raushnī idhar hī rahe