ham apne khetoñ meñ hosh bo.eñge fasl-āvar havās deñge
zamīñ ke nañge badan ko āḳhir pahāḌ kab tak libās deñge
farosh-gāhoñ se jins-e-tāza kabhī kī nāyāb ho chukī hai
ye kaar bā-iztirāb chamke ham apnī jānoñ kī raas deñge
ham āb-bardosh Dā.inoñ ke gale meñ kāñTe utaar deñge
ki un ke hoñToñ se ḳhuun barse kuchh aisī shiddat kī pyaas deñge
harārat-o-bārdat kī khojī havā.eñ mahv-e-safar raheñgī
badaltī rut kī ḳhabar hamesha tuyūr-e-mausam-shanās deñge
har aa.e mausam meñ koñpaloñ ko sipās-bār-āvarī milegā
to shāḳh-e-nā-varda-e-samar ko sazā-e-radd-e-sipās deñge