Ali Akbar Abbas

pani mein bhi pyas ka itna zahr mila hai

Ali Akbar Abbas

1948
paanī meñ bhī pyaas kā itnā zahr milā hai
hoñToñ par aate har qatra suukh rahā hai
andhe ho kar bādal bhāge phirte haiñ
gaate gaate ek parinda aag huā hai
phuul aur phal to taaza koñpal par aate haiñ
piilā patta is vahshat meñ TuuT rahā hai
gardish gardish chalne se hī kaT pā.egā
chāroñ jānib ek safar kā jaal bichhā hai
usī peḌ ke nīche dafn bhī honā hogā
jis kī jaḌ par maiñ ne apnā naam likhā hai
Top Urdushayar.com