Ali Akbar Abbas

main apne waqt mein apni rida mein rahta hun

Ali Akbar Abbas

1948
maiñ apne vaqt meñ apnī ridā meñ rahtā huuñ
aur apne ḳhvāb kī āb-o-havā meñ rahtā huuñ
kabhī zamīn kabhī sair-gāh-e-māh-o-nujūm
kabhī maiñ aks-e-nazar-āshnā meñ rahtā huuñ
samā.atoñ par utartā huuñ misl-e-saut-e-yaqīñ
diloñ ke vāhima-e-barmalā meñ rahtā huuñ
maiñ uḌtī gard huuñ ahl-e-hunar ke teshe kī
aur ahl-e-dard kī bhī ḳhāk-e-pā meñ rahtā huuñ
maiñ ik faqīr-e-ḳhudā-mast barsar-e-duniyā
jamāl-e-yār kī hairat-sarā meñ rahtā huuñ
Top Urdushayar.com