Shibli Nomani

tis din ke liye tark-e-mai-o-saqi kar lun

Shibli Nomani

Azamgarh, Uttar pradesh, India

1857-1914
tiis din ke liye tark-e-mai-o-sāqī kar luuñ
vā.iz-e-sāda ko rozoñ meñ to raazī kar luuñ
pheñk dene kī koī chiiz nahīñ fazl-o-kamāl
varna hāsid tirī ḳhātir se maiñ ye bhī kar luuñ
ai nakīrain qayāmat hī pe rakkho pursish
maiñ zarā umr-e-guzishta kī talāfī kar luuñ
kuchh to ho chāra-e-ġham baat to yak ho jaa.e
tum ḳhafā ho to ajal hī ko maiñ raazī kar luuñ
aur phir kis ko pasand aa.egā vīrāna-e-dil
ġham se maanā bhī ki is ghar ko maiñ ḳhālī kar luuñ
jaur-e-gardūñ se jo marne kī bhī fursat mil jaa.e
imtihān-e-dam-e-jāñ-parvar-e-īsī kar luuñ
dil hī miltā nahīñ sifloñ se vagarna 'shiblī'
ḳhuub guzre falak-e-dūñ se jo yaarī kar luuñ
Top Urdushayar.com