nā-tavāñ ishq ne āḳhir kiyā aisā ham ko
ġham uThāne kā bhī baaqī nahīñ yaarā ham ko
dard-e-furqat se tire zo.af hai aisā ham ko
ḳhvāb meñ bhī tire dushvār hai aanā ham ko
josh-e-vahshat meñ ho kyā ham ko bhalā shukr-e-libās
bas kifāyat hai junūñ dāman-e-sahrā ham ko
rahbarī kī dahan-e-yār kī jānib ḳhat ne
ḳhizr ne chashma-e-haivān ye dikhāyā ham ko
dil girā us ke zanaḳhdāñ meñ fareb-e-ḳhat se
chaah ḳhas-posh thā ai vaa.e na sūjhā ham ko
vaah kāhīdgī-e-jism bhī kyā kaam aa.ī
bazm meñ the pa raqīboñ ne na dekhā ham ko
qālib-e-jism meñ jaañ aa ga.ī goyā 'shiblī'
mo.ajaza fikr ne apnī ye dikhāyā ham ko