Zubair Qaisar

main kaise jhel sakunga banane wale ka dukh

Zubair Qaisar

1975
maiñ kaise jhel sakūñgā banāne vaale kā dukh
chhurī chhurī pe likhā hai lagāne vaale kā dukh
ġhazab kī aañkh adākār thī magar haa.e
tumhārī baat hañsī meñ uḌāne vaale kā dukh
ġhazal meñ dard kī pahle bhī kuchh kamī nahīñ thī
aur is pe ho gayā shāmil sunāne vaale kā dukh
tujhe to dukh hai faqat apnī lā-makānī kā
qayām kar to khulegā Thikāne vaale kā dukh
badan ke chīthḌe uḌte kahīñ havāoñ meñ
sunāne vaale se kam thā chhupāne vaale kā dukh
zamāne ishq kī tafhīm to zarā karnā
be-rozgār batā.e kamāne vaale kā dukh
girāne vaale ke ehsās meñ nahīñ 'qaisar'
ye āsmāñ ko zamīñ par uThāne vaale kā dukh
Top Urdushayar.com