mile kuchh ishq meñ itnā qarār kam-az-kam
hamāre chehroñ pe aa.e nikhār kam-az-kam
sunā.ī dene lage us kī dhaḌkanoñ se sadā
kisī se itnā to ho ham ko pyaar kam-az-kam
ham apne ḳhvāb kī ta.abīr kuchh nikāleñ kyā
ki ek lamha to ho pā.edār kam-az-kam
mire chaman meñ ḳhizāñ rakh chukī qadam lekin
mire ḳhayāl ko miltī bahār kam-az-kam
tamām umr kī naqadī meñ dekhiye sāhab
do-chār lamhe to hoñ ḳhush-gavār kam-az-kam
chunī vo rāhguzar jis taraf nahīñ jaanā
ho apne dil pe hameñ iḳhtiyār kam-se-kam
ham us kī yaad ko rakh kar sirhāne baiThe haiñ
kisī tarah to kaTe intizār kam-az-kam
ik-ādh shaḳhs aziyyat-pasand hai lekin
tumhārā hijr kare e'tibār kam-az-kam