Zubair Qaisar

tanab-e-zat kisi hath mein jami hui hai

Zubair Qaisar

1975
tanāb-e-zāt kisī haath meñ jamī huī hai
ki jaise vaqt kī dhaḌkan yahīñ rukī huī hai
tujhe ravā nahīñ paiġhām vasl ke bhejeñ
lakīr hijr kī jab haath par banī huī hai
har ik darāḌ badan kī numāyāñ ho ga.ī hai
kahānī dard kī dīvār par likhī huī hai
yūñhī to ḳhvāb hameñ dasht ke nahīñ aate
hamārī aañkh kahīñ ret meñ dabī huī hai
vo mere saath kisī dā.ere meñ chal rahā hai
ghaḌī kī tīsrī suuī magar thamī huī hai
vo shaḳhs faisla kar ke gayā nahīñ tā-hāl
ki aane vaalī qayāmat abhī Talī huī hai
vo aa.ine meñ magan kuchh bhī dekhtā nahīñ hai
maiñ kyā batā.ūñ mirī jaan par banī huī hai
badan meñ ishq bhī halkore le rahā hai 'zubair'
hamāre sāmne rassī koī tanī huī hai
Top Urdushayar.com