Zubair Qaisar

nazar nazar se milaoge mare jaoge

Zubair Qaisar

1975
nazar nazar se milāoge maare jāoge
ziyāda bojh uThāoge maare jāoge
koī nahīñ hai yahāñ e'tibār ke qābil
kisī ko raaz batāoge maare jāoge
har ek shāḳh pe chhiḌkā huā hai zahr yahāñ
shajar ko haath lagāoge maare jāoge
jo kāñdhe par ho vo gardan utaar letā hai
kisī ko ūñchā uThāoge maare jāoge
har ek ā.īna manzar judā banātā hai
nazar kā bojh uThāoge maare jāoge
dhueñ meñ milnā muqaddar hai in lakīroñ kā
havā meñ naqsh banāoge maare jāoge
ye nafsiyātī marīzoñ kā shahr hai 'qaisar'
koī savāl uThāoge maare jāoge
Top Urdushayar.com